I am a woman who is playing life like a game of chess. Checkmate will end it all, lets see who says it first.

Saturday, November 04, 2006

Kyon Dartey ho !

Life is busy. Busy in things that I had never wished I would spend my days doing. But till I have the luxury of living my dreams. I have to thank Allah fo rkeeping me employed. Haven't had time to think creatively these days. So I am posting a Nazm I wrote w long while ago.

I miss all my blogger friends. I hope to be back in action soon.

Aaj tum jatay howay mere haath par
Apni khusboo chor gay they
Meri sansoon mein mehak apni
Ungrai mein, jisam apna maroor gay they
Bahut dair mein apnay balo mein
Ungliyan pherti rahi
Ankhain band kye
Tumhey khayalo mein ghairti rahi
Phir na janay kyon ehsaas howa
K tum bahut door kharay muskura rahey ho
Huns rahey ho, mujhey chira rahey ho
Isharay say kehtey ho, aao mere paas aao
Mein tumhara huun jo pakar pao
Mugar mein janti houn!
Mere har kadam par,
Tum do kadam pehchay jao gay
Apney, mere beech fasla barhoa gay
Suno!
Kiyon? Kyoun aisa kartey ho
Meri mohabat say itna dartey ho
Nahi!
Tum khud say dar lagta hay
Tumhara zehen jo dil say larta hai
Yeh yakeen hai mujh ko
Kabhi na kabhi
Tum mujhey banhoon me bhar logay
Aur kaho gay
Tum meri ho!
Sirf meri ho!