I am a woman who is playing life like a game of chess. Checkmate will end it all, lets see who says it first.

Friday, September 01, 2006

Ghazal - 2

Kuch motioon say khwaab hain, koi hai jo inko khareed lay
Masoom jazbay nayaab hain, koi hai jo inko khareed lay

Teri yaad k yeh kafilay, uff hijr kay yeh silsilay
Umer bhar ka azaab hain, koi hai jo inko khareed lay

Jawan hasratoon ka inaam hain, hasilay-e-umer-e-tammam hai
Chund sokhay huway gulab hain, koi hai jo inko khareed lay

Idhar to aieye huzoor, ik nazar to daikhiye zaroor
Yeh bhi chand-e-mahtab hain, koi hai jo inko khareed lay

Shama-e-hijr hai bujhi hoi, raat bhi hai dhali hoi
Asaar-e-seher jo ataab hain, koi hai jo inko khareed lay

4 Comments:

Blogger Jaded said...

you are seriously talented... wish i could make as much sense in urdu :)

9:47 AM

 
Blogger Checkmate said...

Untamed desires, hosla afzai ka shukriya. Koshish to yehi rahey gi k aap ko ainda bhi mayusi na ho.

Jaded, Thank you.

Xill-e-ilahi, shukriya.

9:35 PM

 
Blogger inspirex said...

:)
ur great!

whens do u plan to participate in a mushaira?
rather.....why dont we all bloggers do some shairi..and u can take the prize!

:D

1:03 AM

 
Blogger Checkmate said...

Imtiaz, You just made my day :-D

2:34 AM

 

Post a Comment

<< Home